Wednesday, February 13, 2019

Duvidha

I have penned down the following thoughts  based on lives of each one of us who have knowingly or unknowingly suffered from sacrifices or choices they made in their lives. 

   
Duvidha yeh mere Mann ki
Kya Kisko main batlaoon
Rishton sey judey
ehsaason ka dard kisey main dikhlaoon

Yeh kahani hai mere dil ki
Dil se Jude unn ehsaason ki
Jisey samjhana ya samajhpana
Thoda mushkil hai........

Thodi  si uthal puthal iss dil ki
Shant karoon kaise
Duniya ki raftaar se khudd ko jodun
Kaise...

Mann mey ek tufaan hai
Aankhon mey thodi naami hai
Kuch puraney zakhmon SE miley
Dard ki ajeeb si pareshani hai.....

Kuch sawal hain is zindagi se jinka jawaab mil pana mushkil hai
Rishton key dard ka bojh uthapana
Abb Zara mushkil hai....

Kya meri parvarish galat thi ....
ya woh jinko Kush karney ki koshish mainey bhi kabhi ki thi?

Kya karoon ? Kya kahoon? Kya dikhawa karoon? Key kuch samman aur pyar unn aham rishton ko bhi miley Jinkey honey see Mera wajood hai.......

Yeh dard ka silsila bhi ajeeb hai Jo khatm hi nahi hota
Chahey laakh koshish karloon abb
Unn khoshion key ghar ka pata hi  nahi milta....

Dil karta hai puchoon unse ki
Kya meri galti hai
Thodi si toh zindagi hai
Kya maan abhimaan  ka hona zaroori hai...

Paar do kadam agey badh key phir ruk jaatey Hain ..
aur phir khamoshi sey.....
chubhtey hue dard ka samna kartey Hain

Kuch rishton ki pareshani mey
Khudd key astitva ko khoya
Apni hi kadar naa ki kabhi
Iss baat PE  ye dil hamesha roya...

Roz ayina dekhti hoon aur
Khood ki aankhon mey chipi naami ko
Ponchti Hoon.
Roz joonjhti Hoon khudsey aur kahti Hoon key nazar andaaz kar unki kahi baton ko....
Paar laakh koshishon ke baawajood
Bhi sambhal nahi pati khud ko.

kuch rishton key tootney ki awaz toh nahi hoti
lekin unkey judey honay ki khushi bhi nahi hoti.....

Kahtey Hain zindigi ka Humsafar hi
Apna dost hai
Khushnaseeb hun key iss dost ney abb tak Saath nibhaya hai..
Aur issi dost ki khatir hi Maine usse judey rishton key ghawaon ko jiya hai.

Aab dost bhi Kya karey ....
Uska wajood bhi tohh inhi rishton sey hai...
Unsey sawal karega toh rishtey toot jayengey
Phir hum dono milkey iss ghum ko kya
Jee payengey?

Aab to maut hi inn ghawon see mujhey juda kar paayegi..
Parr  jina hai abhi mujhko
kyonki
Mere sapnon ney ek chotisi udaan bhari hai ...

Iss choti si udaan ney Ashaon ki dastak di hai...
Merey Astitva key honay ki ek nayi  kahani  likhi hai...

Kuch mithi kuch Karwi si zindagi
Sikhati humein bahot kuch hai...
Dawa samajh Kay pilo isey toh
Zindagi bahot khoobsoorat hai ....
Zindagi bahot khoobsoorat hai.....

COMPLETED ON FEB 13TH 2019( started 3years back)

1 comment:

Anonymous said...

Nice poem and pls add English explanation