Monday, August 18, 2008


Childhood Memory lane

Missing those days,
Finding my ways,
I remember my childhood,
Looking back to those trails.

Holding my dad’s hand,
Walking with tumbling steps,
I fall on the ground again,
To learn how to run in rain.

Sleeping in mother’s lap,
Dreaming of fairyland,
I wake up with twinkling eyes,
To look at the blue sky.

Rays of the glowing sun,
Makes my day full of fun,
Showing the way of my school,
Where I can play with no bounds.

Playing with mud and water,
Creating small pots and tumblers,
Cooking with leaves and flowers,
Makes my day always shorter.

Leaving playground makes me sad,
wishing more time I could always have.
I enter the class to read in pain,
But I end up dreaming again.

image from--http://en.wikipedia.org/wiki/Image:Autumn_mountain_trail.jpg

Patang

रंग बिरंगे कागज़ से बनी,
लम्बी सी एक डोर से बंधी,
आसमानी चादर मे,
रुई के इस बदल मे,
गुम हो जाता हूँ कभी,
खींचो तो पास आता तभी


आकाश के विस्तृत आँचल मे,
मैं स्वछंद विचरण करता हूँ,
झूम- झूम के घूम -घूम के,
लोगों का मन हरता हूँ।


दिशाहीन न हो जाऊं,
इस भय से मन घबराता है,
रंगों और तरंगों से,
मन बातें करने लगता है



--------------------------------------------------------------------------------------------
patang
rang birarange Kagaz se bani,
lambi si ek dor se Bandhi
asmaani chadar me
roi ke is badal me
gum ho jata hoon kabhi
khinchon to pass ata tabhi
Akash ke vistrit aanchal mey
Main swachand vicharan karta hoon
jhoom jhoom ke ghoom ghoom ke
logon ka man harta hoon.
Dishahin na ho jaun
Is bhay se Mann ghabrata Hai
rangon aur tarangon se
Maan Batein karne lagta hai

image from http://en.wikipedia.org/wiki/Image:P1000609.jpg

--------------------------------------------------------------------------------------------

Sunday, January 27, 2008

आशा की किरण


सूरज की वह पहली किरण,
आशा से करती है मिलन,
सुबह की नरम धूप से,
भरती है जीवन मे उमंग.

जीवन की इस चुनौती में,
हर दिन नया विश्वास लिए,
वह आती सबसे मिलने,
खुशियों की सौगात लिए.

उसकी एक स्पर्श से,
दिन सुनहरा लगता है,
बादलों के उसपार जब,
किरणों का मेला लगता है.

उस मेले की भीड़ मे,
आशाओं का बसेरा है,
सपनों की दुकानें हैं,
और खुशियों का ही डेरा है.

उसकी एक झलक से सब,
पंछी गाने लगते हैं,
कलियाँ खिलने लगती हैं,
और दिन गुज़रने लगता है.

दिन की इस सवारी में,
कुछ सपने सच हो जाते हैं,
आँखों की चमक मे,
सब दुख़ कहीं खो जाते हैं.
----------------

Asha ki kiran

Suraj ki woh pehli kiran,
Asha se karti hai milan,
Subah ki naram dhup se,
Bharti hai jivan me Umang.

Jivan ki is chunauti mey,
Har din naya vishwas liye,
Woh ati sabse milney,
Khushiyon ki saugat liye.

Uski ek sparsh se,
Din sunehra lagta hai,
Badalon ke uspar jab,
Kiranon ka mela lagta hai.

Us mele ki bhid me,
Asahaon ka basera hai,
Sapnon ki dukanen hain,
Aur khushiyon ka hi dera hai.

Uski ek jhalak se sab,
Panchi gane lagtey hain,
Kaliyan khilne lagti hain,
aur din guzarne lagta hai.

Din ki is sawari mey,
Kuch sapney sach ho jatey hain,
Ankhon ki chamak se sab,
Dukh kahin kho jatey hain.


01/27/08
image taken by me at surfside beach (Houston Texas)

Monday, January 21, 2008

नन्ही pari


छोटी सी, नन्ही सी
फूलों के खुशबू सी,
बिखरी हर आंगन मे,
चन्दा के किरणों सी.

कोमल सी हथेली है,
उज्वल से दो नयन,
होटों पे मुस्कान लिये,
करती हो किसका मनन?

परीलोक से आयी हो,
संग सपने तुम लायी हो ,
मुट्ठी मे अरमान लिये,
माँ से मिलने आयी हो.

रूक रूक के तुम चलती हो,
तुत्लाके कुछ कहती हो,
माँ का आँचल थामे,
अटखेलियाँ तुम करती हो।

तुम चंचलता से भरी,
हो निर्मलता की छवी,
माँ कि आँखों मे,
हमेशा तुम हो बसी.


----


choti si, nanhi si
phoolon ke khushboo si,
bikhri har angan may,
chanda ke kiranon si.

Komal si hatheli hai,
ujwal se do nayan,
hoton pe muskan liye,
karti ho kiska manan?

Parilok se ayi ho,
sang sapne tum layi ho
moothi mey armaan liye,
Maa se milne ayi ho.

ruuk ruuk ke tum chalti ho,
tutla ke kuch kahti ho,
Maa ka anchal thamey,
athkeliya tum karti ho।

tum chanchalataa se bharii,
ho nirmalataa kii chhavii,
Maa ki aankhon me,
humesha tum ho basii।
image from

Wednesday, January 9, 2008

Bachpan ke sapney

एक दिन मैं बैठी थी,
चुप कोने में सहमी सी,
तभी उसे मैंने देखा,
करती कैसे अन्देखा.

तितली जैसी लगती है,
हवा से बातें करती है,
फूलों के इस बाग़ मे,
जाने क्या ढूँढा करती .

रंग बिरंगे पंख हैं उसके,
इठलाती हुई चल है,
फूलों के इस बाग़ मे,
शहद ही उसकी जान है,

पास जाके मैंने जब पूछा,
क्या बनोगी दोस्त मेरी?
फ़ुर्र से उड़ गयी हवा मे,
पलकों में कुछ सपने सजाके.

बचपन के इन सपनों की,
इंद्र धनुषी रंगों की,
दुनिया थी कितनी प्यारी,
तारों से जब की यारी.

----


Ek din main baithi thi,
Chup kone mein sahmi si,
Tabhi use maine dekaha,
Karti kaise andekha.

Titli jaisi lagti hai,
Hawa se baten karti hai,
Phoolon ke is baag may,
Jane kya dhooda karti hai.

Rang birange pankh hain uske,
Ithlati hui chal hai,
Phoolon ke is bag may,
Shahad hi uski jaan hai.

Pas jake maine jab poocha,
Kya banogi dost meri?
furr se udd gayi hawa may,
Palkon men kuch sapne sajake.

Bachpan ke in sapnon ki,
Indradhanushi rangon ki,
Duniya thi kitni pyari,
Taron se jab ki yari.

04/1/08

Wednesday, January 2, 2008

prashna?



दीन बीते, रात बीती,
वक़्त कि हर शाख छूटी,
खुद को समझने कि चाहत में,
जीवन कि हर शाम बीती।


जीवन के इस राह में,
कुछ पाने कि चाह में,
हम भटकते हैं इस तरह,
जैसे प्यासे रेगिस्तान में।


जीवन के इस सागर मे,
क्षितिज छूने कि चाहत में,
तूफानों से जूझ रहें हम सब,
क्षितिज से मिलन होगा कब?

मानव कि अनंत चाहत का,
समंदर के हर साहिल का,
क्षितिज से मिलन होगा कब?
येही प्रश्न है मेरा अब



2/1/2008


meanings

क्षितिज--Horizon
साहिल--- sea shore
अनंत-- never ending
रेगिस्तान- desert
प्यासे-- thirsti




Prashna ?
Din betey, raat biti,
Waqt ki har shakh chooti,
Khud ko samajhne ki chahat may,
Jivan ki har sham biti.

Jivan ke is raah may,
Kuch pane ki chah may,
Hum bhatakte hain is tarah,
Jaise pyase registaan may.

Jivan ke is sagar mey,
Kshitij choone ki chahat may,
Toofanon se joojh rahen hum sab,
Kshitij se milan hoga kab?

Manav ki anant chahat ka,
Samandar ke har sahil ka,
Kshitij se milan hoga kab?
Yehi prashna hai mera aab

2/1/2008


meanings

Kshitij-- horizon
sahil--- sea shore
Anant-- never ending
registaan- desert
pyase-- thirsty
shakh--- branches