This is a place where I just write down my thoughts and my imiginations which I experience by looking into my surrounding.
Thursday, August 11, 2011
Dhooriyan
Wednesday, August 10, 2011
Unkahey sawal
Jivan saathi
Saturday, July 16, 2011
Mamta
Aaj ki subah kuch alag hai,
Hawa may ek mithi si khushboo hai,
Kya tumhey maloom hai ??
mere bagichey mey, ek phool khila hai,
Us phool ka naam jantey ho kya hai??
Shoubhik………..
sabse ek dum alag,
Apni hi duniya mey magan………
Prashnon se bahrey huye uskey Nayan,
Mano pooch raheyn hon….. ki yeh kaun si jagah hai?
Yeh mere aas paas ke log kaun hain ??,
Uski do ujwal ankhen ,
Kabhi haansthin hain…, tho Kabhi rothin hain aur …….
kabhi ….
Achanak apni chanchal nigahon se, mujjhe dhoondthin hain,
Phool ki pankhudi jaisin uski naram palkein,
Band ankhon se apni alag kahani kehthin hain,
Sapnon ki duniya mein khokey yunhi,
Muskuraney lagti hain…………..
Naram Naram se Chotey do haath,
Unn Hathon ki choti -choti Ungliyan
Mere gaalon ko choothi hain,
Mera aanchal khinchkey,,,
apni oor Buulathin hain,
aur… maano yeh kehti hain……..
Maa !!……. mere saath khelo naa,
mujhey kahani sunao naa……….
Tum itney kaamon mey uljhi kyon ho???
Mere paas Aao Naa….
Sach mein………
Bada pyara hai yeh rishta
Har rishtey se bilkul alag,
Meethas sey ghula hua,
Mamta sey bhara hua….
Kaisey bandhoon inn Palon ko??
Tere is Masoom Bachpan ko,
Kho to Naa doongi tujhey kahin???
Phir tujhey Dhoondongi kaisey?
Uska pata maloom nahin….
Deep (July 17th 2011)
Thursday, May 19, 2011
Aaj bhi yaad hai mujhay ...
December ki woh thandi subah,
Khidki se jhanka ..... toh
dhundh kay siway kuch na dikha.
Razai ki garmi se nikalkar,
sinkudti hui kuch der main
Khidki kay seerhanay khadi sochti rahi,
Kay Kash..... yeh subah yenhi ruk jaye.
Kohrey say gili mitti ki khushbu,
patton pay giri oons ki Boondein,
oons say gili ghaans ki narmi,
..... aaj bhi yaad hai mujhay..
Suraj ki garam kiranon say,
Woh dhimay dhimay Kohray,
Ka pighalna............
Kahin door say aayi
thandi hawa ka mujhsay
Yeh kahana, ki
..........Jaago subah ho gayi
Yuun Khadi khadi tum Kahan kho gayi??
Beetay unn palon ki dhundhli chavii
Hawa mein ghuli uss angeethi say
Nikli Dhoonye ki khushbu
aaj bhi yaad hai mujhay
Kaash unn palon say
Phir mulakat ho jaaye
ghari ki sui thori der
ke liye yunhi rook jaaye
................toh khud say poonchu
Kyon yeh waqt rookta nahin??
unn palon ko phir say jinay deta nahin??
duniya ki iis daud may jaanay
yeh paal kho gaye hain kahin........
Deep