Thursday, August 11, 2011

Dhooriyan

Sham ka waqt tha .....main balcony mey
apni armchair pey baithe dhoor suraj ko
doobta dekh rahi thi
Mere ghar se nikal ke ek rasta
Gali key nukkad pe mudta hai
jispey kaii logon ka aana jana
chalta hai...................................

Achanak!! ek parchai....
kuch jani pehchani
samney se aati dikhlai di...
chashma pehan key dekha toh
bhi... thik pehchan naa saki
Kuch der saans mano tham si gayi
phir unn dinon ki dhoondli yaadon
mey gum ho gayi............

phir....... achanak ek awaz sunai di
mano darwazey pe kisi ney dastak ki
Unkey jaaney ke baad .........
koi toh mere ghar aata nahi tha
phir achanak yeh aaj kaun aa gaya?
Kaanp tey hue kadmon ko sambhala
thees kadmon ki dhoori pe khadey
Darwazey ko khola

Darwaza khola toh dekha
Security guard khada tha
Usney mere haath mey parchi
thamatey hue kaha... yeh sahab
aapsey milney aye hain
Mainey parchi kholke dekha
uspey kisi ka naam likha tha
haath ki likhai pehchani si lagi
aur naam bhi pehchana tha
Phir se barson baad unka chehra
samney aya tha...............

Kuch der khadi sochti rahi
phir security guard bola.......
kya hua madam......aap janti hain unhey
kya kahoon jakar ...
Aap milengi unsey?

Mainey hichkichatey hue kaha
Haan.......
tum bhejdo... main miloongi unsey

Darwaza khula chod
Main phir balcony mey ja khadi hui
tabhi ..unkey kadmon ki ahat sunai di
Peechey mudkey dekha....
woh khaday thay
kai baras pehlay jo mujhey milay thay
Unkay chehray pe halki jhurriyan thin
Ankhon mey golden chashma
aur balon may halki safedi thi

Unhonay dheemay se aakar poocha
Kaisi ho.........??
main chup rahi
phir poocha ....
Chai peeogay.......?
unhonay kaha
haan...... par bina chinee ki
mainey poocha yeh bina chinee ki
aadat kab dali?
Unhonay kaha ....jabsey tumhari
Parchai saath chod gayi.......

Mainey Ankh utha kar dekha
aur phir hanstey hue kaha
saath chod ke jana toh likha tha
tumney bhi toh kabhi mujhey roka nahi tha
Tumhari zindagi ek alag mod pe khadi thi
meri tumhari soch ke beech ek deewar khadi thi

Saath rehtey toh shayad ek dujey ko
samajh naa paatey
Ladtey jhgadtey hue waqt beetatey
Humara door jaana hi munasib tha
Ek doojey ki kami ke saath jina
yeh zaroori tha................
phir itney salon baad kyon aye ho?
kya kuch choot gaya hai jo lene aye ho?

Wo Kuch tasweerein hain jeenhey dekhti hoon
kuch batein aur kuch meethay pal hain
jeenhey yaad karke hansti hoon
Chaho toh baki sab tum le jana
par inhey yehin tum chod jana...
................................
................................
Par inhey yehin tum chod jana..

___________________________________Deep 11th august 2011

1 comment:

Arpita said...

Title change korli keno.........