Aaj bhi yaad hai mujhay ...
December ki woh thandi subah,
Khidki se jhanka ..... toh
dhundh kay siway kuch na dikha.
Razai ki garmi se nikalkar,
sinkudti hui kuch der main
Khidki kay seerhanay khadi sochti rahi,
Kay Kash..... yeh subah yenhi ruk jaye.
Kohrey say gili mitti ki khushbu,
patton pay giri oons ki Boondein,
oons say gili ghaans ki narmi,
..... aaj bhi yaad hai mujhay..
Suraj ki garam kiranon say,
Woh dhimay dhimay Kohray,
Ka pighalna............
Kahin door say aayi
thandi hawa ka mujhsay
Yeh kahana, ki
..........Jaago subah ho gayi
Yuun Khadi khadi tum Kahan kho gayi??
Beetay unn palon ki dhundhli chavii
Hawa mein ghuli uss angeethi say
Nikli Dhoonye ki khushbu
aaj bhi yaad hai mujhay
Kaash unn palon say
Phir mulakat ho jaaye
ghari ki sui thori der
ke liye yunhi rook jaaye
................toh khud say poonchu
Kyon yeh waqt rookta nahin??
unn palon ko phir say jinay deta nahin??
duniya ki iis daud may jaanay
yeh paal kho gaye hain kahin........
Deep
No comments:
Post a Comment